Sunday 28 February 2021

Saawan

Sawan se ho na pae jo
Tum wo kar jati ho
Boonde sarakti hain tumpar jab
Sondhi si tum ho jati ho 

Khushboo tumari mujhko ye
Aur pas bulati hai
Fisalta hua tum tak main
Khud ba khud aa jata hu 

Sawan ki jo batey hain
Boonde sab keh jati hain
Inki bato me aakar
Batey nayi ban jati hain 

Sawan jo kar na sake
Tum kaise sab kar jati ho 

Lipti hui boonde se main
Pyas apni bujha lu kya
Ijazat itni dedo ab
Sawan ki aag badhao naa 

Badal jo garje hain
Tum pas aur atey ho
Aisa sawan jae kyu
Duri tumse bhae naa 

Boondo se keh do
Kuch na kahey 
Gir kar zameen se
Kuch keh jati hain

Aag lagi hai jo ab
Bujhani kisko aati hai
Sawan se jo na ban padey
Tumko kaise ati hai 

Itna jo barsaoge pyar tum
Sawan ka bhigna tae hai fir
Bhiga kar sawan ko tum aise
Thehrne ko sawan razi hai

Sawan jo kar na sake
Tum kaise sab kar jati ho

No comments:

Post a Comment